Tuesday, September 10, 2013

Dosto Se Kaha Karta Tha Woh Bhi, 

Kiya Yeh Bhi Jee Sakta Hai, Mere Bin, 

Mazak Ban Jaya Karta Tha Jo Doston Mein, 

Khud Ko Tanha Samajhta Tha Woh, Mere 

Bin, 

Issay Had-e-Dewangi Kahun Ya Pagalpan, 

Tasawar Mein Woh Batein Karta Tha, Mere

 Bin, 

Wo Mousmon Ke Badalne Se Darta Nahi Tha

 Lekin, 

Bahar Mein Murjhaya Karta Tha, Mere Bin,
 

Ab Aas Toot Gayi Uskay Aanay Ki,,

Lagta Hai Jeena Seekh Chuka Hai, Mere

 Bin..!

No comments:

Post a Comment